web analytics

loading

Show info
My Stories

© 2024 by Sonu Goyal
Privacy Policy | Terms And Conditions

Published March 26, 2019

Mere Ghar Aayi Ek Nanhi Pari

Ye kahani us bande ke baare me batati hai jiske ghar ek nanih pari ai hai jise dekh ke jis se milke vo apne jazbaat bayaan karta hai

Aaj us khuda se yaari hai
Aaj usne ek nanih pari meri jholi me dali hai
Aaj es dharti pe koi aya hai
Jisne baap banne ka saubhagya muze dilaya hai

Uske chote chote haato ne thamee ungali meri hai
Uski haasi se muze mili duniya meri hai
Jab bhi vo rotee hai ek choti si khushi bhi hoti hai
Uske Papa bolne ki bekarari muze rheti hai
Kyuki ye hai meri BETI jo muze jaan se pyaari hai

Usse pyaar bhut karta hu par usse dur hone se bhi darta hu
Hoti hai fikar uske kahi bhi chale jane se
Darta hu uske sath kuch bhi galat ho jane se
Har condition me uske sath khada rahunga
Chahe vo ho galat fir bhi uska sath dunga
Dono sath milke Mumy ko sataenge
Akhir BAAP BETI ki jodi hai shaitaani kare bina kaha baaz aenge

Jab tum badi ho jaogi
Duniya se milogi uske sath rhena chahogi
Par jab bhi pich dekhogi apne Maa Baap ko apne sath paogi

Vo din bhi hoga jis din apni ladai hogi
Thoda gussa thodi sunvai hogi
Baap hu maafi mang to nhi paunga
Pr teri aasu pochne tere paas jarur aunga

Ek din tu chodke jaegi
Jab teri shaadi ho jaengi
Roj yaad karunga un palo ko
Tere nanhe nanhe haath ko teri moti si shakal ko
Fir ek din tu bhi Maa banegi
Us din me firse jee uthunga
Kyuki muze dusri nanhi pari milegi

Fir ek vo bhi din aega
Us khuda ke bulave ko inkaar na kr punga
Ek din ye sab chodke chala jaunga
Par tu darna na Beta
Chale jane ke baad bhi tera sath nibhanga

Kyuki us khuda se hi meri yaari hai
Usne ek nanih pari meri jholi me daali hai…

, , ,

Sonu Goyal

This is my small digital world. Where I share some good moments of my life and share my quotation in the shape of poetry (Shayari).

0 Comments

Leave a Reply

error: Content is protected !!